Watan may qaafela-e-Karbala
Watan may qaafela-e-Karbala ki aamadh hai
Sawaari-e-Haram-e-Mustafa ki aamadh hai
Yateem-e-Sarwar-e-Gulgoon khabaa ki aamadh hai
Ghareeb-o-beikas woh bay aashna ki aamadh hai
Tamaam shahar hai shaayeiq Ali kay pyaaroun ka
N abi ke rauzay pa majmaa hai dost daaroun ka
Sunaa tha jab sey ke aathay hain Syed-e-Akram
Khushi sey Fatema Soghra ka tha ajab aalam
Kabhi toh jhukti thi sajdeh may woh badeeda-e-nam
Kabhi yeh kehti thi kyon naani jaan jeegaye hum
Watan may aaj shahey mashraqain aathay hain
Chalo chalo meray Baba Hussain aathay hain
Utteen yeh sunthay hi Ummul Baneen ba shoukh-e-tamaam
Gayeen jo muttasil Rauza-e-Rasool-e-Anaam
Suna yeh shore ke lo aaye shaahey arsh-e-muqaam
Nazar woh aata hai dekho nishaan-e-fauj-e-Imaam
Baday shikhvay say Hyder ka yaadgaar aaya
A lam liye huvey Abbas-e-Naamdaar aaya
Yeh nauha paddtha tha ghoday kay aagey aagey Basheer
Madina lut gaya jungle may margaye Shabbeer
Galay pa dilbar-e-Zehra ke chal gayee Shamsheer
Kiya shaheed ghareebul watan ko bey taqseer
Padaa raha jo zameen par yeh uska jaama hai
Kafan mila na jisey uska yeh Amaama hai
Bitthaakay naaqey ko Saijad-e-naathawaan uthray
Asaa ko thaam ke ba chashm khoonfishaan uthray
Qareeb marqad-e-Sultaan-e-Insojaan uthray
Aur Ahlebaith yeh karthay huvey fughaan uthray
H uvi ghareeboun pa beidaad Ya Rasoolallah
H ussain margaye faryaad Ya Rasoolallah
Huva jo rauzay may daakhil woh qaafila naagaah
Giray mazaar-e-mubarak pa Abid-e-Zeejah
Utthaa kay haath yeh faryaad ki ba naala-o-aah
Tabaahi aagayi hum beikasoun pa ya jaddah
Yateem hokay yeh naashaad kaam aaya hai
Pidar ko khokay watan may ghulaam aaya hai
Badaa sitam kiya ummath ney ya Rasool-e-zaman
Kiya Huzoor kay pyaaroun ko zibhaa tashna dahan
Raha sinaa pa saray paak aur zameen pa badan
Lutay hum aisey ke Baba ko deisakay na Kafan
N a din ko thi hamay raahat na chaen raathoun ko
Jakad diya tha rasan say hamaaray haathoun ko
Gayee lahed pa istarhaa Zainab-e-Mehzoon
Ke ek haath may Shaih ka Amaama-e-purkhoon
Aur ek haath may Hazrat ka jaama-e-gulgoon
Zabaan par marsia jiska yeh jaangazaa mazmoon
Yazeed ney hamay loota duhaayi hai Naana
Bahen shaheed kay mujray ko aayi hai Naana
Hussain bhaayi ko hum Karbala may chhod aaye
Ali kay Laal ko dasht-e-balaa may chhod aaye
Yateem-e-Fatema ko nainawaa may chhod aaye
Tumhaaray chaand ko khaak-e-shifa may chhod aaye
Yeh baad-e-qatl ajab tafreiqaa padaa Naana
Gadaa badhan kahin aur sar kahin gadaa Naana
Huvi Hussain .kay marnay sey dar badar Zainab
Gayee Yazeed ki majlis may nangay sar Zainab
Kayi maheenay rahi qaid nauhagar Zainab
Yeh saqth jaan thi kay jeethi phiree idhar Zainab
Waram hai shanou pa dukhtay hain isthokhaan Nana
Yeh meray baazu pa rassi ke hain nashaan Nana