Abbas mera margaya Zainab
Zainab Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab
Shabbir dethay thay sada Zainab. Zainab
Barpaa karo behna aza
Bhaayi huva hum sey judaa
Hum ho gaye bey aasra
Kohe museebath gir padaa Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab
Bazoo huvey uske qalam
Kaisa huva hai yeh sitham
Tanha huve ghurbath mai hum
Maatam karo zere alam Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab
Aatha alam ko dekhkar
Poocha cha-cha ko tha magar
Dar pey hai unki muntazar
Usko na ho iski khabar Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab
Maarey gaye uske cha-cha
Maaloom agar usko hua
Baali sakina bey bahaa
Peetaygi sar karke bukaa Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab
Akbar sey aye behna kaho
Jaakar chachi ko pursa doh
Pooche humein ghamqaar jo
Kehdena hai maatam mai woh Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab
Tanha humein ab jaankar
Kya kuch kareingay ahle shar
Barbaad hoga ghar ka ghar
Kat jayega ab mera sar Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab
Karlo anees is dum bukaa
Na jaaney aaye kab qazaa
Ya waqt aisa aa gaya
Maatam pa ho zoro jafa Zainab
Abbas mera margaya Zainab Zainab