Aasmaan larzaa Zameen

Aasmaan larzaa Zameen kaampee Samandar roay

Qabr mein Maa kay liye jab Ali Asghar roay

Tanhaa rothi thi bahaathar ko Ali ki Beti

Bey ridaa jab huvee Zainab tho bahaathar roay

Nazaa mein yaad jo Beemar-e-Madina aayeen

Hichkiyaan bandh gayeen istarhaa sey Akbar roay

Waqt-e-rukhsath jo Hussain aaye dar-e-khaimaa par

Shah Zainab sey bohoth dair lipatt kar roay

Aisey royaa na kisee Baap ko Beta koyi

Jaisey chaalees baras Abid-e-Muztar roay

Zibhaa hotay huvey sab dekh rahi thi behnein

Yeh samaan dekh kay Maula ka muqaddar roay

Aisey har Naasir-e-Shabbir pey royee Zainab

Jaisey Bhaayi kay bichardd jaane pey khuaahar roay

Shimr ka khauff hai gardhan mein rasan bhi hai bandhi

Apney Baba ko Sakina kahaan jaakar roay

Sunkay aye Mir Takallum tera majlis mein salaam

Fatima royeen, Ali roay, Payambar roay