Zakhmi jo run may Qasim-e-gul

Zakhmi jo run may Qasim-e-gul pairahan hua

Paidaa shahana jodey sey rang-e-kafan hua

Bagh-e-jinah Rasool ko Baitul Huzzan hua

Aur Fouj-e-keen may shaad har ek thegh-e-zann hua

Ghul tha ke raundh dala hai lashkar ke baagh ko

Aan ghaziyo bujhado Hassan ke charaagh ko

Ghabraagaye yeh sun ke sadaa Sarwar-e-Anaam

Abbas-e- naamvar sey yeh us dum kiya kalaam

Lo bhaayi jung ho chuki qissa hua tamaam

Aaya soovey yateem-e-Hassan maut ka payaam

Humshakl-e-Mustafa ko bulaalo pukaarkey

Maango dua saroun sey amaamey utaarkey.

Yeh kehkay qibla rooh huvey Sultaan-e-Kaainaath

Dargah-e-Kibriya may dua ki utthakey haath

Aye Khaaliq-e-zameeno-zamaa Rabbe paak zaath

In zaalimoun ke haath sey Qasim ko dey najaath

Tu haafizey jahaan hai Kareemur Raheem hai

Ya Rab bachaa isey ke yeh bachchaa yateem hai

Nikla yeh sab ke mooh sey ke hai hai Hassan ke laal

Zainab ney uttkey khol diye apney sar ke baal

Seenay mai hil gaya dil-e-Banu yeh khush qisaal

Chillayi maa guzar gaya kya mera nauneyhaal

Abid ka taph sey garm badhan sard ho gaya

Qasim ke chotey bhaayi ka mooh zard ho gaya

Chillayi rokay zauja-e-Abbase naujawaan

Ya Rab hai tu yateem-e-Hassan ka nigahbaan

Sunkar yeh ghul dulhan ke bhi aansoo huvey ravaan

Leykar balayein saas pukaari ke meri jaan

Khaaliq kareyga rahem na aaho buka karo

Dulha pa aah bani hai mai sadqey dua karo

Is isteraab may jo sunaa saas ka sukhan

Zaanu sey sar uttakey huvi qibla rooh dulhan

Aahistha ki yeh arz ke aye Rabbey zulmeinan

Dushman pey fathey yaab ho laqthey dil-e-Hasan

Laddney gaye hai tashna dahan teri raah mai

Rakh meray ibney amm ko tu apni panaah mai

Ya Rab dulhan baney mujhey guzri na ek shab

Dulha jo margaya toh mujhey kya kahengay sab

Ab takh toh sharm sey na hilaaye thay mainey labb

Par kya kahoon ke ab hai meri rooh par thaab

Shabbar ke aftaab ka waqt-e-ghuroob hai

Dulha sey pehlay mujhko utthaley toh khoob hai

Sehray ke phool bhi abhi sookhey nahi hai aah

Jo aagaya payaam rundaapey ka ya ilaah

Yeh aqdh tha ke maut thi maatam tha yak e biyaah

Baad iskey hoga khalq mai kyonkar mera nibaah

Utt hoon jahaan sey dilbar-e-Shabbar ke saamney

Aurath ki maut khoob hai shouharr ke saamney

Ghash mai jhuka faras pe jo woh gheerath-e-qamar

Maara kisiney farq pa ek gurz taanh kar

Barchi lagi jo shees ki tukdey huvaa jigar

Girthey thay asp sey ke kamar par lagaa tabarr

Taarooq ki teigh khakey pukaarey Imaam ko

Faryaad ya Hussain bachaalo ghulaam ko

Jhaptey jo Shah fauj paa chamkakey Zulfeqaar

Bijli giri Yazeed ke lashkar pa ek baar

Is ghaiz mein yameen sey jo aaye suvey isaar

Bhaagey phira ke ghodoun ki baagoun ko sab sawaar

Bhaaghard may khoon sey run ki zameen laal ho gayi

Dulhaa ki laash ghodoun sey paamaal ho gayi