Jab daage bekasi na Sakina
Jab daage bekasi na Sakina utha saki
Aur darde dil na qowf ke maare suna saki
Khaye tamaanche shumr ke jab tak ke kha saki
Sin kam tha dukh bahut thay na bardasht laa saki
R o-ee toh zalimoun ne jafa beshumaar ki
A aqir yeh jabr dekh kay mauth eqtiyaar ki
Gar aah ki toh shumr pukara qaamosh ho
Aur chup hui toh bepidari ne kaha ke ro
Gah shiddate atash se pukari ke paani doh
Gah yaad karke rah gayi baba ki pyaas ko
S o-ee jo aansu ponch ke chashme pur aab se
H ae hae Hussain kehke phir uth baithi qwab se
Dil mein sama gaya tha jo shumre la-een ka darr
Soney mein kaamp kaamp yeh kehti thi raat bhar
Faryaad cheenta hae gowhar shumre badh gohar
Aata hae ibne saad chupoon jakey main kidhar
Zainab phoopi sambhalo kaleja dhadakta hae
S ajjad bhai dekho yeh qooli ghurakta hae
Jab pyaas lagti roe ke chacha ko pukaarti
Dukhte jo kaan shah-e-huda ko pukaarti
Aata na jab koi toh Khuda ko pukaarti
Jeene se tangh hoke qaza ko pukaarti
Kehti thi ne chacha na imame umam rahe
R ulwaane ko adoo rahe rone ko hum rahe
Chup thi toh chup thi bolti joh thi dari hui
Waan shumr aaya tunh mein idhar tharthari hui
Thi aah baat baat par lab par dhari hui
Gardan ki reesmaan lahu se bhari hui
Dum rukne lagta tha toh rasan khol detey thay
Baaher joh shumr bolta toh baandh lethay thay
Haale shabe wafaate Sakina hae yaadgaar
Goya ke apni marg thi bekas pah aashkaar
Milti thi shaam se woh gale sabke baar baar
Ma ki balaein leti thi woh ma ki gham ghusaar
Tasleem ko phoopi ki kabhi sar jhukati thi
Thi beqatah pah sab se qatah baqshwati thi
Zindaan se kehti thi yeh kabhi woh aseere gham
Ho jayega kal ek tera mehmaan kam
Mayyat kisi ki nanhi si niklegi subha dum
Bano se yeh qitaab kabhi tha bachashm nam
E k taaza mauth hogi nabi ke gharane mein
A mma lutogi aaj ki shab qaid qane mein
Bano pukari lut toh chuki ab lutoongi kya
Bibi na naam lutne ka lo tum pah main fida
Gowhar chine tamanche lage kaan shaq hua
Lutne se meri bibi ka par dil nahin bhara
Zainab ki pushth nok-e sinaan se figaar hae
Par meri pyaari lutne ki umeedwaar hae
Ab kya lutoongi maal nahin zar nahin raha
Akbar nahin raha Ali Asghar nahin raha
Rehne ko qaidqana mila ghar nahin raha
Hathon mein reesma bandhi zewar nahin raha
Dowlat hae kounsi jise zindaan mein kho-oongi
R ona tha jisko ro chuki ab kisko ro-oongi
Kubra se chupke chupke kabhi karti thi bayaan
Kal ek jagah mein jaoongi is ghar se mehmaan
Rokar woh poochti thi kaho toh kahan kahan
Darwaze mein toh qufl hae gardan mein reesmaan
Yeh kehti thi ke qufl laga hae toh kya hua
Zindaan hae bandh rowzae Rizwaan khula hua
Kubra hai aur tum ho yeh Sajjade natawan
Gar yeh bache toh naam hae varna hoon bay nishan
Woh boli sab rahenge salamat pah hum kahan
Ma ne kaha Khuda na kare ae Sakina jaan
Ki arz dekh logi joh pichli ko hoega
Baba ki rone wali ko sab kunba roega
Ab mauth meri sab ko mubarak kare Khuda
Marte he mere qaid se sab kunba ho reha
Jaata rahe buqaar biraadar ka be dawa
Jannat ko hum rawaan ho Madine ko aqroba
Ghul ho Sakina leke bala sab ki margayi
H yder ki pothi mushkilein aasan kar gayi