Jab baad dafn Shah watan
Jab baad dafn Shah watan ko haram chale
Sajjad saath raandoun ke ba chashme nam chale
Hamraah leke qaafela ranjo gham chale
Zainab pukaari peet ke sar bhai hum chale
Ulfat joh thi kamaal shahe mashraqain se
R o-ee lipat lipat ke mazaare Hussain se
Phir sar ko rakh ke qabr pah woh gham ki mubtela
Boli ke assalamo alaik ae shahe huda
Bhayya utho sawaar karo tum pah main fida
Farmaiye watan mein mai jakar karoongi kya
R ah rah ke dhyan aata hae mujh dil malool ko
Kya jaake moonh dikhaoongei qabre rasool ko
Bhaiyya main bin tumhare watan ko na jaaongi
Bhaiyya yaheen main qabr pah aansu bahaoongi
Naalon se aasmano zameen ko hilaoongi
Nazre Hussain pyaasoun ko paani pilaoongi
Jo poochega tu rotih hae kyon shoroshain se
Kehdoongi chut gayi hoon main bhayi Hussain se
Sajjad roke karte thay Zainab se yeh suqan
Chaliye phoopi Khuda ke liye ab su-e watan
Ro ro ke jaan doh na yahan behre zulmenan
Hona hae qaid tumko dobara basad mehan
R auze pah nanajaan ki ab jaake roiyeh
Durron ke zaqm pusht pah dikhlake roiyeh
Yeh sunke uthi qabr se aaqir woh soghwaar
Ek haudajeh siyaah mein aakar hui sawaar
Pahunche watan mein jis ghadi Sajjade dilfigaar
Pehle gayi baqiye mein Zehra ki gul-o-zaar
Boli lipat ke qabr se amma duhaai hae
Bhai ko khoke Zainabe nashaad aayi hae
Amma sunaoon tumko main joh kuch jafa huvi
Pardes mein Hussain se Zainab judah huvi
Chowthe baras mein baap pah beti fida huvi
Amma Hussain margaye main berida huvi
Dil zindagi se Zainabe muztar ka hat gaya
M ain dekhti rahi sare Shabbir kat gaya
Amma tumhare laal ko kya kya na gham huve
Laashe ke haath angoti ki qaatir qalam huve
Murdeh pah mere bhai ke taaza sitam huve
Pamaal laash hogayi barbaad hum huve
Gowhar Sakina ke bhi utaare hain shumr ne
Durre hamari pusht pah maare hain shumr ne
Amma tere mareez ko qaidi banaya tha
Towqe giraan buqaar mein usko pahnaya tha
Kaanton pah nangay paoon adoo ne phiraya tha
Amma sivae shukr nahin lab hilaaya tha
Bulwaaya tha yazeed ne darbaare aam mein
A mma Sakina margayi Zindaane Shaam mein
Ae amma ek rassi mein bandhwaya tha hamein
Oonton ki nangi pusht pah bithlaya tha hamein
Sar tasht mein Hussain ka dikhlaya tha hamein
Abed ko durre maarke rulwaya tha hamein
H airat hae kyon na Zainabe nashaad margayi
A mma main sar khule huve shereen ke ghar gayi
Amma phirake Koofe mein phir humko koo bakoo
Sar nangay su-e Shaam hamein le chale adoo
Pahunche joh shahre Shaam mein hum sab kushada moo
Baazariyon mein shor yeh hotah tha char soo
Beti Ali ki Zainabe dil geer aayi hae
Dekho chalo Hussain ki hamsheer aayi hae