Aye rozey daaro aaho bukaa ke
Aye rozey daaro aaho bukaa ke yeh roz hain
Saadaath par nuzool-e-balaa ke yeh roz hain
Sartaaj-e-ausiyaa ki azaa ke yeh roz hain
Tumsey vidaa-e-shair-e-khuda ke yeh roz hain
Zakhmi huva Imam tumhaara namaaz may
Zaalim ney rozeydaar ko maara namaaz may
Maahey mubaarak-e-Ramazaan aur khuda ka ghar
Thaddkaa woh noor ka woh shab-e-Qadr ki sahar
Paish-e-khuda woh sajdeh may shair-e-khuda ka sar
Aur haaye teigh zulm ki zarbath woh farq par
Fawaarey khoon ke zakhme jabeen sey bahaa kiye
S ajdeh may aap rabbi-ul-aala kahaa kiye
Sar peeto mominou sar-e-hyder huva doh neem
Imaan ke burj kaama-e-anwar huva doh neem
Souncho toh farq shah ka kyonkar huva doh neem
Likha hai maqz takh sar-e-athar huva doh neem
Zehra ney baal kholay nabi nangay sar huvey
Tum bey Imaam aur Hassan bey pidar huvey
Likhaa hai jab doh neem huvaa farq-e-Murtuza
Sidhray sey jibraeel ke ronay ka ghul utthaa
Phainkhee saroun sey Zainab-o-Kulsoom ney ridaa
Chillaa ke bhaaiyoun ko pukaari ghazab huva
S unthay ho jibraeel ney is waqt kya kahaa
woh bolay peet kar quthalal Murtuza kahaa
Daudey yeh kehkay jaanib-e-Masjid-o-Nekh zaath
Doobi huvi lahoo may mili kashti-e-Najaath
Maathay pa khoon baap ka malkar kahi yeh baath
Hai hai utthaaya Qibla-o-Kaaba pa kisney haath
R ulvaaya naana jaan ko Darus-salaam may
Bin baap ka kiya hamein maahey siyaam may
Naagaah namaaziyoun ka groh aaya nangay sar
Hyder ney Mujtaba sey kaha aankhein khol kar
Padvaao turn namaaz jamaath ki aye pisar
Hum bhaittay bhaittay paddthay hain apney muqaam par
L eikeen jabeen ke zakhm pa rumaal baandho
M era sar-e-shigaaftaa aye laal baandho
Baandha Hassan ney Zakhm-e-sarey shaah-e-Zuljalaal
Bolay Ali ke aur kaso dard hai kamaal
Shabbar ney jab kasaa toh kiya phir wohi miqaal
Phir chusth baandhkar pukaara woh khush qisaal
A b dard kaisa aye Asad-e-Zuljalaal hai
H aathoun sey sar pakadd ke kaha wohi haal hai
Padvaa ke phir namaaz jamaath ki Mujtaba
Baba ke sar pa paddney lagay Aaya-e-shifa
Naagaah aakey yeh kisi aurath ney di nidaa
Zehra ke pyaaro turnsey yeh Zainab ney hai kaha
Baba ko meray jald jo ghar may na laaogay
Toh sar barehna mujhko bhi Masjid may paaogay
Bolay Ali havaas abhi sey bajaa nahin
Zainab sey kehdo kufaa hai yeh karbalaa nahin
Main bey dayaar-o-beikas-o-bey aashnaa nahin
Shia hain girdh nargha-e-ahley jafaa nahin
Pardeh sey nangay sar tu abhi kyon nikalthi hai
Kya halq par Hussain ke talwaar chalthi hai