Chehlum jo Karbala may bahaatthar
Chehlum jo Karbala may bahaatthar ka ho chukaa
Paivandh beikasoun kay tanh o sar ka ho chukaa
Aur Faatiha Hussain kay lashkar ka ho chukaa
Qabroun pa shore aal-e-payambar ka ho chukka
M aatam may teen roz rahey shor o shain sey
R oyeh lipat lipat kay mazaar-e-Hussain sey
Mislay chiraagh gor-e-ghareebaan pa dil jalaaye
Phooloun ke badhley qabroun pa laqtey jigar chadd-haaye
Pyaaron ki bood o baash kay saamaan jo yaad aaye
Bey saaqtaa pukaray kaleijay pakadd kay haaye
H ai hai woh pardaa daar hamaaray kidhar gaye
Bay pardaa hokay aal-e-Nabi dar ba dar gaye
Maqtal kay aas paas yeh beivoun ki thi fughan
Zainab jabeen lahadh pay dharay karthi thi bayaan
Aye meray karbalayee baraadar Hussain jaan
Humsheer teen din sey tumhaari hai mehmaan
A llah meri baath bhi poochi na aapney
Zindaan ki waareydaath bhi poochi na aapney.
Raazi hoon jo riza-e-Imaam-e-jaleel hai
Par qaabilay mulaahiza baazu ka neel hai
Naa koyi daad rass hai na koyi kafeel hai
Bhaayi baghair aapkey Zainab zaleel hai
Pushtoh panaah utt gaya beykhaanumaa huvi
Dekho yeh pushth qaabilay noukay sinaa huvi
Main jaanti thi shaher basaa hoga bhaayi ka
Hogaa hujoom qabr paa saari khudaayi ka
Chehlum karoongi dhoom sey main karbalaayi ka
Pursaa bhi yaan koyi nahi Zehra ki jaayi ka
M uh dhaanmpney ko aap hi pallaa bhi laythi hoon
A ur apney dil ko aap hi pursaa bhi deythi hoon
Chehlum toh karchukee main dilafgaar ya Hussain
Ab rauza kis tarhaa sey ho taiyaar ya Hussain
Beta bhi aur bahen bhi hai naadaar ya Hussain
Aakhir kabhi toh aayengay zawaar ya Hussain
Thakiyaa hai kaar saazi yeh parwardigaar par
I s dum toh saaheibaan bhi nahin hai mazaar par
Zainab pukaari kooch ka saamaan hogaya
Phir shaher meray bhaayi ka veeraan hogaya
Aur maqbeiraa Hussain ka sun-saan hogaya
Hoo ka muqaam qatl ka maidaan hogaya
A ayi musaafeiroun ko meray woh zameen pasandh
Duniya may jis zameen ko basthi nahin pasandh
Aye karbala-e-Sarwar-e-Dilgeer alvedaa
Aye Qatlgaah-e-Hazrath-e-Shabbir alvedaa
Aye Qabr ibn-e-Saaheb-e-Tatheer alvedaa
Aye bhaayi jaan jaati hai humsheer alvedaa
Kya bay naseeb hai yeh nawaasi Rasool ki
Turnney mujaaveiri na hamaari qubool ki
Bhaiyyaa uttho kajaavey may mujhko tumhi bittaao
Bhaiyyaa mai bey naqaab hoon rehgiroun ko hattaao
Rokein qanaath Akbar-o-Abbas ko bulaao
Qaali hai goadh bhaabi ki Asghar ko leikay aao
S ardaar saare qaafilay kay aagay hothay hain
Thaiyaar kaarvaan huva aur aap sothay hain.
Kabsey tumhey pukaar rahi hoon main qastaa-tanh
Hai hai jawaab bhi nahin deithay shahey zaman
Bhaiyaa galay lagaalo toh jaaoon suey watan
Aayi nida sidhaaro khuda haafez aye bahan
S oghro ko meri simth sey bhi pyaar keejiyo
H ogaa sawaab khaatir-e-beemaar keejiyo