Aey charkh teray zulm ki kuch

Aey charkh teray zulm ki kuch inteha nahin

Ye sach hai ki kisi sey bhi tuney wafa nahin

Lekin bataadey kya tujhey khauff-e-Khuda nahin

Ya Fatima sey bhi tujhey sharm-o-hayaa nahin

Zehra ki qabr Najdiyon ney haif dhaadiya

Sach toh yeh hai kaaba-e-eemaan gira diya

Kaabey ko dhaya marqad-e-Zehra jo dhaadiya

Kaaba nahin tha arsh-e-Khuda thaa gira diya

Yeh zulm woh hai jiski nahin koyi inteha

Parwardigaar azmat-e-Zehra ka waasta

Naazil balaa ho unpey koyi aasmaan sey

Jaldi mita dey Najdiyon ko tu jahaan sey

Jaan-e-Rasool khaasa-e-daawar woh Fatima

Shohar hai jiska Saaqiye-Kausar woh Fatima

Shabbir-o-Mujtaba ki jo maadar woh Fatima

Pehlu pey jiskay haaye giraa dar woh Fatima

Talwar aur pehlu-e-Zehra hazaar haif

Pushtey mubarak aapki durrey hazaar haif

Thi paanch saal ki kay Khatija ney ki qazaa

Maadar ka saaya sar sey uttha waa Mohammada

Atthaarween baras mein pidar sey huvi juda

Jheyli museebatein woh nahin jiski inteha

Zinda rahi toh baap ko rona nahin mila

Baad-e-Rasool chain sey sona nahin mila

Bait-ul-huzan ko jaati thi Zehra paey buka

Afsos us jagaah ko bhi ummat ney dhaa diya

Saaye mein baitthna bhi gawaara nahin huva

Yeh qadr Fatima ki huvi waah Mohammada

Kaisey karoon bayaan joh zulm-o-sitam huvey

Baher shumaar sey hain woh ranjo alam huvey

Kyun mominon kaleija tumhara na munh ko aaye

Darwaza fatima kay shikam par giraaya haaye

Sadmey sey jiskay Hazrat-e-Mohsin wafaat paaye

Yeh Syeda ney baap ki ummat sey dukh utthaaye

Aalam mein is tarah sey kisi par jafa na ho

Mazlooma Fatima si koi Ya Khuda na ho

Suntey ho momineen toh karta hoon main bayaan

Barbaadiye quboor aaimaa ki daastaan

Qabr-e-Hasan pey baandhi hai aada ney bakriyan

Oonton ko lekay jaatey hain har waqt saarban

Ki sharm kuch Khuda sey na uskay Rasool sey

Allah samjhey jald yeh qaum-e-jahool sey

Ranj-o-alam ki dil pey girey kyun na bijliyan

Masjid Ali ki gosh ki dukaan al-amaan

Qabr-e-Khatija pey toh barasti hai goliyan

Is waastey kay Fatima Zehra ki thi yeh Maa

Ummat ney khoob qadr-e-Risaalat maab ki

Qabrein bhi Ahlebait ki hai hai kharaab ki

Ji chahta hai kaat kay marjayein khud galaa

Moulood Nabi ka hogaya afsos mazbala

Kis munh sey yeh kahoon kay huvey zulm aur kya

Qabr-e-Batool-e-paak ko kachrey sey bhar diya

Kachrey mein roz aag lagatey hain haif hai

Bint-e-Nabi ki qabr jalaatey hain haif hai

Yaaro bathaao zulm ki kuch inteha bhi hai

Ummat ko aah paas-e-Rasool-e-Khuda bhi hai

Baddkar koi jahan mein is sey jafaa bhi hai

Qabron mein haif aag lagaana rawaa bhi hai

Haq ki qasam na rahem sey Ya Shah kaam lo

Ya Mustafa lahad sey uttho inteqaam lo

Hum dekhein qabr-e-Fatima mitjaaye haif haye

Zehra ki qabr aag sey jaljaye haif haye

Shiyon ko sunkay baat yeh chain aaye haif haye

Momin galaa na kaat kay marjaaye haif haye

Dholey yeh haat jeeney sey inka yeh kaam hai

Saadat ko toh dehar mein rehna haraam hai