Lutaa hai gulshan-e-Zehra isi

Lutaa hai gulshan-e-Zehra isi Moharram mein

Chuttaa hai Sheh sey Madina isi Moharram mein

Isi mein Sheh pa huvaa saathveen sey paani bandh

Rahaa Furaath pa pehraa isi Moharram mein

Isi mein Aun-o-Mohammad ki laash laaye Shah

Shaheed hogaya dulhaa isi Moharram mein

Isi mein qatl huvaa Naujawaan Ali Akbar

Bahaa hai khoon-e-tamanna isi Moharram mein

Hussain pyaasey ka baazu isi mein tootaa hai

Shaheed hogaya Saqqaa isi Moharram mein

Chiddaa kay teer sey hulqoom Sheh kay haathoun par

Tadap kay rehgayaa bachcha isi Moharram mein

Isi mahiney mein sar katt gaya namazi ka

Lahad sey niklee hai Zehra isi Moharram mein

Isi mahiney mein masnadh jalee payambar ki

Pidar ko royi Sakina isi Moharram mein

Isi mahiney mein qaidi banay Nabi kay Haram

Chinnee hai chaadar-e-Zehra isi Moharram mein

Jigar kharaash hai Shoukath Hussain ki rudaad

Yateem hogayi Sughra isi Moharram mein