Jab mehfil-e-yazeed mein daakhil

Jab mehfil-e-yazeed mein daakhil harum huvey

Ghash aaya har qadam pah yeh zulm-o-sitham huvey

Zainab pukaari haadeisay aisey bhi kam huvey

Sar katt gaya Hussain ka sar nangay hum huvey

Kyon aasmaan gir nahin paddtha duhaayi hai

Zehra ki beti saamney haakim kay aayi hai

Moujood anjuman mein sagheer-o-kabeer hain

Haakim kay girdh kursiyoun pah sab ameer hain

Khaasaan-e-Zuljalaal zaleel-o-haqeer hain

Mushkil kusha kay khurd-o-kalaan sab aseer hain

Kehdey koyi Ali sey yeh daarus salaam mein

Zainab ka daakhila huva darbaar-e-aam mein

Aye logou Karbala sey meray bhaayi ko bulaao

Aye logou meray gaysuoun waaley jawaan ko laao

Aye logou mera haadeisa Abbas ko sunaao

Aye logou yaadgaar-e-Hasan sey kaho kay aao

Qasim sey haaye kuch na kamakh us ghadi huvi

Yeh baal kholay kiski dulhan hai khadi huvi

Hokar aseer dukhtar-e-khaatam jo aayi thi

Naana ney meray khud isey chaadar uddhaayi thi

Poshaak amma ney nayee isko pinhaayi thi

Sabko yeh paas tha kay saqi ki woh jaayi thi

Ummath ko haaye pass Rasool-e-Khuda nahin

Zainab barhainaa sar hai aur unko hayaa nahin

Baba ko meray pooch toh kaisa saqi hai woh

Mushkil kusha hai kul ka Khuda ka wali hai woh

Naana ko meray dekho kay sab ka wali hai woh

Bhaayi kay sadqey faqr-e-Nabi-o-Ali hai woh

M eri khabar aseeri mein leytha nahin koyi

Kapdaa bhi mooh chupaaney ko deytha nahin koyi

Darbaar mein yazeed kay harsoo tha izdihaam

Tehraa rahey thay baidh kay maanind khaas-o-aam

Baitta tha taqth-e-nehas pah woh nuthfaa-e-haraam

Ek haath mein toh sheesha tha ek haath mein tha jaam

Baalaa-e-taqth shughal tha isko sharaab ka

A ur zeir-e-taqth sar tha khalaf-e-Buturaab ka

Haazir wahaan tha ek farangi bhi us ghadi

Rokar kahaa yazeed sey isney kay aye shaqi

Teiray maamailey sey laraztha hai mera ji

Sar hai tabaq mein jiska yeh mujrim hai kya koyi

H aasha jo mein kahoon kay yeh ahley qasoor hai

Zulfoun mein boo-ey mashk hai chehray pah noor hai

Teiray maamailey sey mera housh jaata hai

Kya harf-e-badh tujhey yeh kattaa sar sunaatha hai

Jo choob baidh iskay labboun par lagaatha hai

Koyi bhi haath murdeh kay sar par utthaatha hai

I ska gunaah toh mujhey hairaan kar gayaa

Baaqi qasaas rehgaya aur sar utar gaya