Kehti thi run may aakay Sakina

Kehti thi run may aakay Sakina jawaab doh

Jaaney Nabi-o-Fatima Zehra jawaab doh

Kya so rahey ho khaak pa tanhaa jawaab doh

Aayi hoon turnko dhoondney isjaa jawaab doh

M arthi hoon gham sey meray maseehaa jawaab doh

Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Zakhmi huvey hain kaan meray chhin gaye gauhar

Kis say kahoon ke zakhmoun may hai dard baishtarr

Faryaad turnsey karney main aayi hoon aye pidar

Hai qaabiley mulaahezaa yeh haal sar ba sar

Dekho yeh khoon bharaa huva kurta jawaab doh

Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Qaidi banaake shaam ko leijaatey hain hamein

Pursaa nahin hai koyi ke kuch unsey hum kahein

Faryaad gham zadoun ki na Hazrat bhi gar sunein

Kab tak in aafathoun may raheiy aah kya karein

Kya kah rahi hoon Syed-e-wala jawaab doh

Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Aye jaan-e-Fatima-o-payamber utho utho

Aye nor-e-ain-e-Faatha-e-khaiber utho utho

Dekho aseer hogayi Qaahar utho utho

Chilla rahi hai aapki dukhtar utho utho

Kya so rahay ho beti key shaida jawaab doh

Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Beygoar kyon paday hain tumharey rafiq sab

Laasha yeh jalti reith pa main dekhti hoon jab

Hotha hai meray dil paa dubaala gham-o-taabh

Dafnaatha inko koyi nahin is ka kya sabab

Kyon beykafan har ek ka hai laasha jawaab doh

Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Aati hai Daadijaan ki awaaz yaan suno

Kis dard sey pukaarti hai Babajaan suno

Karti hai kaisey ranjo alam ke bayaan suno

Kya so rahay ho binte Nabi ki fughaan suno

Kin mannathoun say kehti hai Zehra jawaab doh

Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Poochey jo mujhsey haal, tumhaara bayaan karoon

Pyaasey shaheed ho gaye Baba bayaan karoon

Akbar ka mainey dekha hai laasha bayaan karoon

Asghar ka sar bhi naizay pa dekha bayaan karoon

Kya kehkay is ko doon main dilaasa jawaab doh

Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh

Rothay thay aap main jo kabhi karthi thi fughaan

Samjhaakay leikay goadh may kartey thay yoon bayaan

Qurbaan teri aankhoun ke aansoo na kar rawaan

Ab mera rona aur yeh gham khana Babajaan

Kyon aap ko hua hai gawaara jawaab doh

Baba jawaab doh meray Baba jawaab doh