Jab sadre zeen se gir pade Abbase
Jab sadre zeen se gir pade Abbase bawafa
Jungle se aai giryae Zehra ki bhi sada
Akbar ne daud kar shahe wala se yeh kaha
Chaliye huzoor nehar pa maare gaye chacha
Bay dast dushmanon ne kiya uss deler ko
Ro aayieh tarai mein Hyder ke sher ko
Yeh sunke peet tey huve uthe zameen se shah
Farmaya hae ghazab mere bachhe huve tabah
Yeh kya kaha ke ankhon mein din hogaya siyah
Mazloom se bichad gaye Abbas aah aah
Muddat hui tamam Sakina ke chaen ki
Toda falak ne aaj kamar ko Hussain ki
Ye kehke su-ey nehr chale shahe karbala
Maninde baidh kampthay thay Sheh ki dastopah
Amama tha na farq pah ne dosh par rida
Tasveer vaar thay hamatanh sibte Mustafa
Maqtal ki qaak se tane anwar ata hua
Seena khula hua tha gareban phata hua
Pahunche joonhi taraai mein ba deeda puraab
Dekha tapaanh hae qaak farzande bu Turab
Shano peh ki nazar toh jigar ko rahi na taab
Bas ha-e bhai kehke gira woh falak janab
Bekaar dasto pa thay shahe khush qisaal ke
Le aaye laash tak Ali Akbar sambhal ke
Moonh rakhke khoon bhare huve chehre peh di sada
Bhaiyya Hussain aaya hae awaaz doh zara
Haihaath dono haath badan se hue juda
Bazoo ke sadqe in tere shaanon ke main fida
Bhaiyya hamare haath toh bekaar ho gaye
Tum haath kho ke Jaffar-e Tayyar ho gaye
Sun kar sadae hazrate Shabbire namdaar
Khola lahu bhari hui ankhon ko ek baar
Sar rakh ke paaye sheh pah yeh bola woh zee viqar
Tashreef aap laye zahe izzo ifteqar
Jee chahta hae yeh ke nisare huzoor hoon
Kis tarha uth ke gird phiroon choor choor hoon
Baithe hain aap aur mein leta hoon aah aah
Kya door hae huzoor agar baqsh de gunaah
Sar shaq hae zarbe gurz se ya shahe deen panaah
Karwat bhi ab toh le nahin sakta hae qair qah
Dukhte hain bolne main jarahath phate hue
Dekhe huzoor mere hain bazoo kate hue
Moonh rakhke moonh pah kehne lage shah-e-khushqisal
Abbas mein kin ankhon se dekhoon tera yeh haal
Is dum bhi hae tumhe mere aadab ka khayaal
Jab zibha honge hum toh kise hoega malaal
Sadqe Hussain tere taneh paash paash ke
Ek baar hum ko gird toh phirne doh laash ke
Yeh sunke us diler ne ek sard aah ki
Mashkeeza pa tadap ke bahasrath nigah ki
Moonh sharm se chupa liya godhi mein shah ki
Haalat tabaah hogayi Hyder ke maah ki
Jab dil ko bekali ho toh kis tarha kal pade
Zaanu pah sheh ke ankhon se ansoo nikal pade
Farmaya sheh ne kisliye rotey ho zaar zaar
Lo ab kuch apna haal kaho tum pah main nisar
Kya jee pah hai bani jo tadapte ho baar baar
Ki arz us jari ne ke hae waqte ehtezaar
Aqa se chootne ka qalaq hae ghulam ko
Paonga ab kahan shahe gardoon muqaam ko
Yeh kehte thay ki phir gayi ankhon ki puthliyaan
Hichki ke saath aagayi sookhe laboun pah jaan
Hasrath se dekh kar tarafe shahe insojaan
Duniya se kooch kargaye Abbase naujawan
Choda jari ne saath shahe mashraqain ka
Ek ghul utha ke margaya aashiq Hussain ka
Chillati hae yeh zowjae Abbase naamwar
Chodo mujhe quda kiliye peetne doh sar
Waris mera guzar gaya loota ajal ne ghar
Hae hae yateem hogaye dono mere pisar
Pardes mein Ali ke pisar se bichad gayi
Ab qaak udaane doh ke meri maang ujad gayi