Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas
Kya isi din ke liye maangi thi Baba ney dua
Aake pardes may hojaoge tum hum se juda
Sothay ho chaen se dariya ke kanaarey Bhaiyya
Kya sunaayi nahin dethi tumhey halmin ki sadaa (Abbas)
Tanha hain khadey run may Sarwar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Gir ke ghodey sey sadaa baap ko Akbar ney jo di
Dilbar-e-Fatema Zehra ki ajab haalat thi
Haath malthe thay kabhi ghaat ko takhtey thay kabhi
Thaamkar tooti kamar kehthe thay farzande Nabi (Abbas)
Laoon kaise laasha-e-Akbar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Haal Shabbir ka ab toh nahin dekha jaata
Hai Kamar qam nahin aankhoun sey sijhaayi detha
Yeh zaeefi yeh jawan laal ka sadhmaa bhaiyya
Thaamlo baddke zara haath tumhi bhaayi ka (Abbas)
Khaathey hain tokhar par tokhar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Kya isi din ke liye saath behan thi aayi
Aagayi neend jo dariya ki taraayi paayi
Phir palatkar hamey surath bhi nahin dikhlaayi
Aagava run sey Alam tum nahin aaye bhaayi (Abbas)
Phat tha hai mera sadhmey se jigar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Aye meray shair-e-jawan Aye meray bhaayi ho kahaan
Shaaq hai dil pa tumhaari yeh judayee ho kahaan
Deir sey dethi hoon bhaiyya main duhaayi hoon kahaan
Lut thi hai Fatema Zehra ki kamaayi ho kahaan (Abbas)
Khanjar hai halq-e-Sarwar par (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Hai qayaamat ka samaa loot hai khaimoun may machi
Koyi pursa nahin haalath hai ajab bachchoun ki
Taaziyane koyi khaata hai tamaache koyi
Aag daaman may hai masoom Sakina ke lagi (Abbas)
Bhaiyya utto lo jald khabar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Azmath-o- izzat sadaat bhulaadi bhaayi
Aag khaimoun may layeenou ney lagaadi bhaayi
Masnadh-e-Ahmad mursal bhi jalaadi bhaayi
Touq-o-zanjeer bhi Abid ko pinhaadi bhaayi (Abbas)
Ghash may hai pada mera dilbar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Bhaayi ko bhool gaye dhyaan na behnon ka raha
Yaad aaya na koyi paayi jo dariya ki havaa
Haaye kis dil se kiya tum ne gavaara bhaiyya
Har tamaache pa Sakina ne tumhe yaad kiya (Abbas)
Jab chhine gaye kaanon se gauhar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)
Chhod kar dasht-e-museebath may behan ko bhaayi
Tum ney achcha hi kiya dur basaayi basti
Dekh sakthe thay kahaan tum jo thi haalath meri
Balva-e-aam may bhaiyaa main khule sar hoon khadi (Abbas)
Aada leigaye sar sey chaadar (Abbas)
Aye Shair-e-Nayastaan-e-Hyder Abbas (x2)