Zainab Ali Akbar kay jeeney ki dua maango
 Zainab Ali Akbar kay jeeney ki dua maango
Bach jaaye mera bachcha bas uski dua mango
Zainab yeh pisar meri aankhon ki basaarath hai
Reh jaaye nazar meri ab iski dua maango
Sughra kaha karti thi aksar aye watan waalo
Bhaiyya mera lautt aaye sab milkar dua mango
Shishmaahey kay jhooley ko choomtey thay phir Akbar
Bhaiyya kaamiyaab rahey Asghar yeh dua mango
Daaman nahin choddti thi Sakina Ali Akbar ka
Behnaa teri marjaaye bhaiyyah yeh dua mango
Sughra sey kiya waada aaoongaa tumhey leinay
Waadey ko nibhaana hai bus iski dua mango
Sheh ney kaha aye beta kaisey maen ijaazath doon
Pehlay jaakay Zainab sey laddney ki reza mango
Abbas kay marney ney meri tho kamar todi
Hum Shakl-e-Payambar hai logo yeh dua mango
Koniyoun kay bal chalkar pahunchey laashey Akbar par
Laila kaheen dekh na ley Fizza yeh dua maango
Rakhtey thay utthaatey thay maiyyat Ali Akbar ki
Khaimey takh pahunch jaaoon logo yeh dua maango