Ibne Ali jo baage risaalat
Ibne Ali jo baage risaalat luta chuka
Bhai ki aur baap ki dowlat luta chuka
Poonji haram ki apni biza-at luta chuka
Sab kuch baraae baqshishe ummat luta chuka
Baaqi koi shaheedon ke daftar mein ab nahin
Juz Abede mareez koi ghar mein ab nahin
Tanha khade thay fauj mein shah-hey falak viqar
Jo aai chaar simt se phir fauje badhshiyaar
Dekha ke hae niyaam mein Hyder ki zulfiqar
Jurrat hui har ek ko badh kar lagaae vaar
Yaade Khuda mein shah ne sab kuch bhula diya
Jab zaqm khaya shukr kiya muskura diya
Tukde hua jabeen se kamar tak taneh imam
Ghabragaya faras toh yeh bole shahe anaam
Ae Zuljanah yaan se hatana na ek gaam
Ab jang bhi tamam hae aur hum bhi hae tamam
Ghere huve hae fauj ajal saddeh raah hae
Jayega ab kahan ke yehi qatl gaah hae
Muztar na ho lagein toh lagein navake sitam
Kuch gham nahin jo padti hain talwarein dum badum
Maare na dum jo tanh se ho sau baar sar qalam
Rahat ke dukh samajhte hain raahe Khuda mein hum
Paidah huve hain dardo museebat ke waastey
Yeh sab qubool hain hamein ummat ke waastey
Mujhko na qatl hone ka gham hae na kuch malal
Ghar ki hae ab na fikr na bachhon ka hae qayal
Jana qareeb hae su-e darbare zuljalal
Yeh fikr hae ke dekhiye hota hae kya ma-aal
Mursil bhi thar tharate hain is baargah mein
Kya nazr leke jaaon janabe Ilaah mein
Yeh kehte thay ke sar pah lagi teghe aabdaar
Naiza sina ka hogaya seene ke waar paar
Girne lage jo zeen se imame falak viqar
Baitha zameen pah tek ke ghutnon ko rahvaar
Ghash mein jigar pakad ke ba dardo alam gire
Sambhla gaya na qaak pah shah hey umam gire
Di badhke paek ne pisare Saad ko qabar
Ghode se gir pada asad ullah ka pisar
Bashaash hoke shumr se bola woh qeerasar
Ja jaldi ja nabi ke nawaase ko qatl kar
Ghul ho dilavari ka teri shehar shehar mein
Qanjar woh khenchle jo bujhaya ho zehar mein
Qanjar pakad kar Shumr chala aasteen chadae
Bola yeh Ibne Saad ke qooli bhi saath jaae
Dono laeen jo laashae Sarwar ke paas aae
Pehloo se Fatema ne sada di ke hai hai
Qanjar liye hue sitam eejad aae hain
Chownko Hussain zibha ko jallad aae hain
Roohe janabe Fatema Zehra ne di sada
Sadqe main is laboun ke is awaaz par fida
Iska nahin qayal ke kat-ta hae ab gala
Yeh sabr marhaba mere mazloom marhaba
Tukde hae jism pyaas se hoton pah jaan hae
Ae laal marte waqt bhi ummat ka dhyan hae
Kyonkar kahoon tataaviley shumre sitam shiyaar
Pyaase gale pah sheh ki rakhi teghe aab daar
Ghar se idhar nikal padi Zainab jigar figaar
Chillayi moonh Najaf ki taraf karke ek baar
Halqe Hussain kat tha hae qanjar ki dhaar se
Ya Murtuza Ali nikal aao mazaar se
Ya shere kirdegaar ulat doh jahaan ko
Faryaad se hilado zameen aasmaan ko
Karte hain zibha ahle sitam mehmaan ko
Ya Mustafa bachalo mere bhaijaan ko
Shamsheer chalne paaye na pyaase ke halq par
Rajkh deejiye halq apna nawaase ke halq par
Yeh kehke su-ey maqtal shahe umam chali
Moonh apna peet thi huvi ba dardo gham chali
Uth kar kabhi giri toh kabhi doh qadam chali
Aur vaan gulooe shah pah teghe doh dum chali
Pahunchi toh qaatema tha shahe mashreqain ka
Shumre laeen ke haath mein tha sar Hussain ka