Ley jaayiyeh khaimey mein yeh mashk-o-alam Maula
Ley jaayiyeh khaimey mein yeh mashk-o-alam Maula
Daryaa pa huvey meray shaaney bhi qalam Maula
Hai waqt mera aakher jald aaiyeh Ya Sarwar
Taa dekhloon aankhon sey Hazrat kay qadam Maula
Ab waqt nahin aaqa deedaar dikhaa dijiyeh
Mushtaaq-e-Ziarath ka hai aankhon mein dam Maula
Dikhlaayi nahin deitha ab aankhon sey khaadim ko
Hai aankh mein paiwasthaa ek teer-e-sitham Maula
Mehjoob Sakina sey qismath ney kiya mujhko
Pyaasi rahi Shehzadi aur margaye hum Maula
Reythi pa giraa hoon maen narghey mein ghiraa hon maen
Ruk-ruk kay nikalthaa hai ab seenay sey dum Maula
Kehta tha yehi rokar Saqqa-e-Haram Baqar
Hai mashk-e-Sakina ka Abbas ko gham Maula