Qatl Hogaye Qasim ya Ali duhaayi hai
Qatl Hogaye Qasim ya Ali duhaayi hai
Hai lahoo bhara chehra kaisi roonumaayi hai
Dekhne ko yeh manzar ab dulhan bhi aayi hai
Ek din ki thi shaadi hashr takh judaayi hai
Karbala ke dulha ki laash ghar may aayi hai
Do jahaan na kyon roye yeh Ali ka potha hai
Bekasi pey qasim ki dil shikista hotha hai
Yeh zameen rothi hai aasmaan bhi rotha hai
Ab kisi ko saktaa hai koyi jaan khotha hai
Kis liye tadapthey hain kis ko jaayein samjhaane
Kya guzarti hai hum par woh toh bas khuda jaane
Qalb bhi hamarey hain shah ke aza khaane
Hai aza-e-qasim mein ansoovon ke nazraane
Aaj karbala waale phir hamarey mehmaan hain
Phool ho ke mehendi ho sab aza ke saamaan hain
Ehtemaam shaadi ke ek bahen ke armaan hain
Gham zadoun ke nazraane ansoovon ke toofan hain
Bayn thay yeh Kubra ke Ab toh ghutt raha hai dum
Bolthay nahin kuch bhi aaj meray ibne amm
Kis tarhaa sey dikhlaaye apney dil ka yeh aalam
Boliye phupi amma chup rahe ke roye hum
Misl Fatema Kubra kaunsi dulhan hogi
Sar toh bey rawa hoga haath mai rasan hogi
Laash jiske waaris ki run mai bey kafan hogi
Aye rafi is gham mai qoum seena zann hogi