Bhaiyyaa uttho kajaavey may
Bhaiyya main bin tumhaarey watan ko na jaaoongi
Bhaiyya yahin main qabr par aansoo bahaaoongi
Naaloun sey aasmaano zameen ko hilaaoongi
Nazrey Hussain pyaasoun ko paani pilaaoongi
Jo poocheigaa tu rothi hai kyon shor-o-shayn sey
Kehdoongi chutt gayi hoon main bhaayi Hussain sey
Sajjad rokay karthay thay Zainab sey yeh suqan
Chaliyeh phoopi Khuda kay liye ab su-ey watan
Ro ro kay jaan doh na yahaan behray zulmeinan
Hona hai qaid tumko dobaara basadh meihann
R auzey pah Naana jaan kay ab jaakay royieh
Durroun kay zakhm pushth pa dikhlaakay royieh
Yeh sunkay utthi qabr sey aakhir woh soghvaar
Ek haudajeh siyaah main aakar huvi sawaar
Pahoonchey watan main jis ghadi Sajjad-e-dilfigaar
Pehlay gayi baqiyeh main Zehra ki gul-e-zaar
Boli lipat kay qabr sey amma duhaayi hai
Bhaayi ko khokay Zainab-e-naashaad aayi hai
Amma sunaoon tumko main joh kuch jafaa huvi
Pardes main Hussain sey Zainab judaa huvi
Chowthay baras main baap pah beti fidaa huvi
Amma Hussain margaye main beyridaa huvi
Dil zindagi sey Zainab-e-muztar ka hatt gaya
M ain dekhti rahi sar-e-Shabbir katt gaya
Amma tumhaarey laal ko kya kya na gham huvey
Laashey kay haath angoti ki qaatir qalam huvey
Laashey pah meray bhaayi kay taaza sitam huvey
Paamaal laash hogayi barbaad hum huvey
Gowhar Sakina kay bhi uthaarey hain Shimr ney
Durrey hamaari pushth pa maarey hain Shimr ney
Amma teray mareez ko qaidi banaaya tha
Touq-e-giraan bukhaar main usko pinhaaya tha
Kaantoun pa nangay paaoon adoo ney phiraaya tha
Amma sivaa-e-shukr nahin labb hilaaya tha
Bulwaaya tha yazeed ney darbaar-e-aam main
A mma Sakina margayi Zindaan-e-Shaam main
Aye Amma ek rassi main bandhwaaya tha hamein
Oontoun ki nangi pushth pa bittlaaya tha hamein
Sar tashth main Hussain ka dikhlaaya tha hamein
Abid ko durrey maar kay rulwaaya tha hamein
H airath hai kyon na Zainab-e-naashaad margayi
A mma main sar khuley huve shireen kay ghar gayi
Amma phiraakay Koofay main phir humko koo bakoo
Sar nangay suey Shaam hamein ley chaley adoo
Pahonchey jo shaher-e-Shaam main hum sab kushaada moo
Baazariyon main shor yeh hotha tha chaar soo
Beti Ali ki Zainab-e-dilgeer aayi hai
Dekho chalo Hussain ki Humsheer aayi hai