Pardes mein Muslim ke yateemoun
Pardes mein Muslim ke yateemoun pa jafaa hai
Dariya pa paye qatl adoo lekay chala hai
Chota toh badey bhayee ka muh dekh rahaa hai
Zorr usko madad ka nahin mashghool-e-buka hai
Bey rahem ke khaabu mai hain doh naazoun ke paaley
Har soo nigraan hain ke koyee aake bachaaley
Chotey ko badaa bhayee hai badd bad ke bachaatha
Har baar hai musaff ki tarha beech mei aatha
Roh detha hai kuch kahney ka moukha nahin paatha
Bey saakhta ek baat zabaan par hai yeh laatha
Sun haal ghareeboun ka khuda ke liye dum lay
Ab hum teray ghar mein kabhi aayein toh qasam lay
Kuch ghar mai teray chaen nahin paaya hai aisaa
Thoda hai faqath paani sey faaqa kayee din ka
Khud aaye nahin kee teri zouja ne tamanna
Hujreh mai namaazein hain padi aur kiya kya
Hum bachchey hain tu apni buzurgi par amal kar
Taqseer jo kuch hum sey huvi ho woh bahal kar
Yeh jurm hai bin poochey jo aaye hain teray ghar
Hujre mein rahey shab ko bhi bedaar baraabar
Kurtey phatay gesu khinchi saili lagi hum par
Takleef bahut dey chuka ab chodd sitamgar
Jungle mein kahin bhaitt ke hum royeinge zaalim
Muh karke teray ghar ko na ab soyeinge zaalim
Suntha na tha mazloomoun ki ek baat sitamgar
Deithay thay nida zauja-e-haaris ko yeh baddkar
Yeh jaanthay tho hum kabhi aathay na teray ghar
Mehmaanoun ko apney tu bachaati nahin maadar
Chuddwaadey ke pakkdey huvey zulfoun ko adoo hai
Amma nahin baba nahin jo kuch hai so tu hai
Baaloun ko bikheirey huvey woh momina thi saath
Mazloomoun ko zaalim sey chudaati thi woh khushzaath
Kehti thi Khuda ke liye kya karta hai bazzaath
Geh paaoon pa sar rakhti thi geh baandti thi haath
Bas bas ke zameen ab toh hili jaati hai zaalim
Zehra mujhey sar nangay nazar aati hai zaalim
Zaalim ney tahey teigh kiya zaujaa ko uss aahn
Ya Fatima kehkar huvi Zehra pa woh qurbaan
Dariya pa adoo laaya unhey pakdey gareybaan
Di teigh ghulaam-e-habshee ko wahan uriyaan
Ghussey sey kaha donou ko unglee sey dikhaakar
Aan kaatlay sar unkay kinaaray pay tu jaakar
Talwaar ko chamkaa ke badaa woh habshee aah
Yeh tegh taleh sar ko jhukaakar huvey humraah
Likhaa hai ke tha woh habashee mard haq aagaah
Raastey mai khitaab us sey kiya donou ney naagaah
Hum shakl-e-Bilaal-e-shahey laulaak ka tu hai
Sach kehkay payambar ka mohib hai ke adoo hai.
Farzand ko di haaris-e-maloon ney talwaar
Aur bola ke sar kaatlay in donou ka ek baar
Woh bola ke mujhsey yeh nahi hoyega zinhaar
Yeh tuhi hai badhbaqth siyaaroo woh jafaakaar
Haaris tu pidar kiska shaqi-e-azali hai
Maa Fatima hai mominoun ki baap Ali hai
Tu core hai zaalim nazar aaye tujhey kyonkar
Lay dekh Nabi rothay hain darya pa khuley sar
Yeh sunke uttha haaris-e-maloon-o-sitamgar
Zaalim ney kaha mujhko nahin khauff-e-payambar
Ek teigh taleh donou baraadar ko bitthaakar
Sar kaata badey bhaayi ka chotay ko dikhaakar
Sar paas rakhaa laash ko dariya mai bahaaya
Bhaayi ke galey ka jo lahoo khaak pey paaya
Ulfath sey baraadar ka lahoo josh mai aaya
Tabh joddkay haath apney yeh qaatil ko sunaaya
Pouchoon yeh lahoo kurtay sey talwaar jhukaadey
Loutoon badey bhaayi ke lahoo may jo rizaadey
Woh bola ke ho shouq sey ho ghalthaan mujhey kya darr
Bhaayi ke lahoo mai woh laga loutney girkar
Kehtha tha badey bhaayi kahaan dhoondey baraadar
Tum tho abhi bhaitey huvey thay meray baraadar
Kisney hi naseeb aisey ulatt-thay huvey dekhaa
Bhaayi ney galaa bhaayi ka katt-thay huvey dekhaa